सोमवार, मार्च 17, 2014

Learn English Vocab Tips



Learn English Vocab Tips
Namaskaar...Preey Mitro, English improve karne ke liye vocab yaad karna va unhe yaad rakhna anivaarya hai. Parantu vocabulary yaad karne waale vidhyaarthiyo ke saath yeh samasyaa hona aam baat hai, ki unhe vocab yaad nahi hote yaa ve vocab bhool jaaya karte hai. Mitro is tathya se bhi hum aapko avgat karva de ki, yeh bhaasha hindi bhaasha ke samaan maatra 2 laakh yaa savaa 2 laakh shabd hi apne shabd bhandaar me sammahit nahi kiye hue hai, apitu mitro is vishv bhaasha roopi mahasaagar me lagbhag 10 laakh se bhi adhik shabd hai. Parantu phir bhi mitro is tathya se hume ghabrane ki aavashyakta nahi hai. Ab yahaa aapko me yeh baat bataana uchit samjhoonga ki, angrezy bhaasha seekhne ki drashti se hindi se adhik saral hai...Kyuki mitro yeh tathya bhi hume kadaapi nahi bhoolna chahiye ki hum sabhi ne is antarrashtreey bhaasha ko likhna seekhne hetu is bhaasha ki varnamaala ke maatra 26 letters hi seehe the, jabki hindi bhaasha ko likhna seekhne me iske dogune arhtat 52 varn hume seekhne pade the. Khair mitro yeh hamaari agli post me hum aapko samjhaane ki koshish karenge ki kis prakaar English hindi se adhik saral hai. (How English language is easier than hindi language) in our blog seekho-english.blogspot.com To aaiye filhal hum uprokt Vocabs sambandhi is samasya ko kuchh hal karne me aapki madad kare. To mitro is post me hum aapko bataate hai English vocabs yaad karne va yaad rakhne ke  mahatvapoorn 3 tips.
1-      Repeating, Revision and Practice.
2-      Using in sentences or story or Speech or in your conversation.
3-      Linking the vocabs to the related images and imagination.
1-      Repeating , Revision, and practice:- Mitro jis prakaar kisi vyakti se ek baar pareechit hone  ke pashchaat yadi hum use kuchh samay beet jaane ke pashchaat dekhe to uskaa naam dubaaraa hamaare mastshk ki smrati patal me dohrane ki avashyakta hoti hai. Parantu pratidin mulaakaat hone wale vyakti ka naam swatah hi hamare mastishk me  aa jata hai. Theek usi prakaar hum apne yaad kiye huve vocabs roopi vyakti se roz roz milte rahe, unse mulaakaat karte rahe to ve hamaare liye apareechit nahi honge. Mitro seekhne ke is silsile me hameshaa yeh baat yaad rakhiye ki “Practice makes a man perfect” arthaat abhyaas ek vyakti ko poorn banaataa hai. Atah yaad kiye huve vocabs ko samay samay par repeat, revise, va practice avashya hi karte rahiye.
2-    

Using in sentences or story or Speech or in your conversation :- Ab mitro kisi parichit mitra sambandh banaaye rakhne hetu usse koi naa koi kaam lete rahenge to us vyakti se parichay pragaadh banega, theek usi prakaar yaad kiye huve vocabs roopi vjyakti se apne dainik jeevan me kuchh na kuchh kaam lete rahiye, arthaat unka speech, yaa daily vaartaalaap me upyog karke apne yaad kiye hue shabdo kaa parichay mazboot banaate rahiye. Ab maan lijiye aapne 10,000 rupye ka koi branded mobile kharida, to use upyog to lenge yaa use showcase me sajaakar rakh denge. Aisa hum isliye keh rahe hai kyuki aksar vidhyarthi apni copy me yaa dimaag roopi copy me vocab sirf yaad karke bahut 
1-      khush hote rahte hai. Parantu unka prayog karne ki zehmat nahi uthaate hai. To mitro apne yaad kiye vocabs ko apne mashtishk roopy ya apne notebook roopi showcase se baahar nikalkar unka upyog apne dainik jeevan ke vaakyo me karte rahiye.
2-      Linking the vocab to the related imagination :- Mitro is 3rd tip me aapko yeh samjhaane ki kosihish karoonga ki naveen tathaa kathin shabdo ko yaad kaise kiya jaay. Mitro yaad kiye jaane waale shabd ko us shabd se sambandhit kisi bhi image yaa chitra athva vastu yaa shahar se jodne ki man me sochiye. Nishchit koi na koi kadi milegi. Yeh kadi aapke dainik jeevan ki koi aisi vastu athva chitra ho jo aapko turant yaad aa jay. Vah vastu ya chitra aapke zahan me aate hi yaad kiyaa huva shabd mashtishk ki smarati patal me aaegaa. Parantu yeh baat dhyaan rahe, sambandhit vocab kaa dohraav tathaa prayog (tips 1 and 2) anivaarya hai.
Example 1 :- (device) English vocab ka hindi artha hai (yantra, upkaran, yojnaa) Ab is shabd ko yaad karne hetu hum apne mashtishk se sochenge ki is shabd ko hum kis vastu athvaa shahar se jod sakte hai. Ye imagination yaad karne waale vidhyarthi ke anusaar alag alag ho sakte hai. Yahaa is vocab ko yaad karte samay maan lijiye mere mashtishk me (Dewas shahar) aayaa. kyuki mai device va (Dewas) me kuchh samanta mahsoos kar rahaa hoo. Atah mai man me imagination karunga ki (Dewas me bahut saare yanta va upkaran hai, or vahaa mene ek yantra khareedne ki yojna banaai). Is prakaar Dewas shahar ko device va uske arth ko yaad rakhne hetu maine link jod di.
Example 2 :-  (lend) ka artha hai (udhar dena) va (borrow) ka arth hai (udhar lena).
Confusion ki sthiti me kiska arth udhar lena va kiska artha udhar dena hai iske liye hum inhe inke pahle shabd ko inke arth ke saath aise jod sakte hai ki (lede) tatha (bole).
Example 3 :-  (sew) shabd ka artha hai (silna) va iska uchchaaran hai (so)
Ab padhne me yeh shabd (seev) padhaa jaata hai. Isse hum is shabd ke arth ko jod sakte hai. Ab is shabd ke uchchaaran ko dhyan rakhne hetu hum English ka (sow) shabd dekhte hai, iska artha hotaa hai (bonaa). Atah (sew) ka uchchaaran va (sow) me samanta yeh samajh ke kar sakte hai ki jis prakaar zameen me beej bote arthat gaadte hai, usi prakaar kapde me sui.
Example 4 :- (arena) vocab ka arth hai (akhaadaa, yuddh bhoomi). Is vocab kaa arth hum aise yaad rakh sakte hai ki akhaadaa ya yuddh bhoomi me jaane se koi bhi yoo hi kahega ki akhaadaa are naa baabaa naa.
Example 5 :- (Parsimonious) shabd ka arth hai (mitvyayi ya kanjoos) yeh shabd ka adjective form hai. Imagination kijiye ki ek parsi vyakti mony ko bahut bachaata hai, log use kanjoos kehte hai. Yeh uski pehchaan hai, atah yeh shabd adjective form hai. (adjective- vyakti, vastu, yaa sthaan ki pehchaan bataataa hai) is prakar is shabd kaa arth tathaa iskaa form bhi humne jod diya. Is shabd ka noun form hogaa parsimony. (kanjoosi, mitvyayita)

Examples in short....burden means (bojh, vajan)....assosiate with thinking that a bird is flying with  some (bojh).  
 
Gramineous:-  (ghaas jaisaa) in village there are crops like grass.



 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें